Ad Code

Ticker

6/recent/ticker-posts

Islamic Poetry

Zafar admi us ko na jane ga ho wo kaisa hi sahab e fehm o zaka,
Jise ishq me yad e khoda na rahi jise taish me khof e khoda na raha.
-------------------------------
Khuda ko Bhool Gaye Log Fikar-e-Rozi Main,
Talaash Rizq ki Hai “RAAZIQ” ka Khayaal Nahi…..!!
-------------------------------
Karta Rahun Gunah har mokay pe Besabab
Kitna RAHEEM hai woh ek Tobah pe chhor de
-------------------------------
Nahi Sajde kiye ham ne Kabhi ghairon ki Chokhat pe
Hamein Jitni Zaroorat ho Khuda se Maang lete hain
-------------------------------
Daagh-e-Sajood ager teri Peshani pey huwa to keya
Koi aeysa SAJDA bhi ker k Zameen pey Nishan rahey
-------------------------------
Jis Shehr ki Masjid Bhi Tarasti Ho Jabeen Ko
Phir Samjho ke us Shehr ka Har Shakhs Khuda Hai
-------------------------------
Na afsos hai tujhe sahab na koi sharmindagi hai,
Guzar rahi hai jo gunaahon mein yeh kesi zindagi hai..
-------------------------------
Youn to rehmat hy teri, Teray ghazab py haavi,
Phir bhi Mehshar men khudaya mera Parda rakhna..
-------------------------------
Yu’n to syed bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho,
Tum sabhi kuch ho, bataao to musalmaan bhi ho ?
-------------------------------
Wohi rakhe ga mere ghar ko balaaon se mehfooz,
Jo shajjar se ghaunslaa girne nahin deta..
-------------------------------
Hawaa khilaaf thi lekin chiraag bhi khoob jala,
Khuda bhi apne honey ke kya kya saboot deta hai..
-------------------------------
Roz gunaah karta hu’n, woh chupata hai Apni Rehmat se,
Mein majboor apni Aadat se, woh mash’hoor Apni Rehmat se…
-------------------------------
Sajdon ke iwaz firdos miley yeh baat mujhe manzoor nahin,
Be-laus ibaadat karta hon, banda hoon tera mazdoor nahin..
-------------------------------
Tere ikhteyaar mein kya nahin mujhe is tarah se nawaaz de,
Meri yun dua’ein kubool kar ke mere lab pe koi dua na ho..
-------------------------------
Khushbu-e-Gulab hai Pasina RASOOL ka
Aap ko bhi ho Mubarak Mahina RASOOL ka
-------------------------------
Phir Yad E Khuda Sy Ghafil, Ay Dunia Teri Havass Me….!
Es Mukhtasar Sy Jivan ki Ik Aur Raat B Beet Gye….!
-------------------------------
Zaban Se Kah Bhi Diya La Ilaha Illah To Kya Hasil
Dil-O-Nigah Musalmaan Nahi To Kuchh Bhi Nahi
-------------------------------
Koi jannat ka Taalib hai ,Koi gham say pareshaan hai
Zaroorat Sajda Karwaati hai Ibaadat koun karta hai
-------------------------------
Mehshar Ka Khair Kuch Bhi Natija Ho Aay Addam..!
Kuch Guftugo Tou Khul Ke Karenge Khuda Ke Saath..!!
-------------------------------
Mat kar khaak k putley pe gharoor-0-beniazi itni…
Khud ko khudi mein jhaank kr dekh tujh mein rakha kya hai!
-------------------------------
Banai Kya KHUDA Ne Sohni Surat MUHAMMAD Ki
Huye Aashiq Wo Jisne Dekh Li Surat MUHAMMAD Ki

Kamal-E-Husn-E-Yusuf Pr Faqt Ashiq Zulekha Thi
KHUDA Khud Jis Pe Ashiq Hy Wo Surat Hy MUHAMMAD Ki

Muslamano Ko Jab Janat K Darwazy Pe Rokengy
Hukum Hoga K Jany Do Ye Ummat Hy MUHAMMAD Ki
-------------------------------
Dunya Ki Har Fiza Mein Ujala *RASOOL* Ka
Ye Sari Kainat Hai Sadqa *RASOOL* Ka

Khusboo Gulab Hai Pasina *RASOOL* Ka
Aap Ko Mubark Ho Mahina *RASOOL* Ka
-------------------------------
Mein Jashn-E-Aamad-E-Sarkar Yoon Manaonga
K Jhoom Jhoom K Naat-E-Nabi Sunaonga

Wiladat-E-Shah-E-Deen Ka Mahina Aaya Hai
Gali Makaan Dukaan Aaj Sub Sunaonga

Juloos-E-Jashn-E-Wiladat Ehtiraam K Sath
Qadam Qadam Pe Duroodon K Gul Khilaonga
-------------------------------
Wo tamam meri hamaqatein, jo hui gunah ki chaon mein
wo amal ki sari kasaftein,jo likhi gayi hain fizaon mein

Tere samnay hai zara zara, Teri Zaat wakif-e-haal ha
Main bura sahi mujhe bakhsh de, mere dil ko sakht malal ha

Meri neend ankhon se dor hai,mera maazi itna kharab ha
Yeh karam hai RAB-e-JAHAN Tera mere her gunah pe naqab ha

Tujhe ikhtiyar hai sab ka sab,mera Tujh se itna swal hai
Tu maaf ker Tu Kareem hai,Tu RAB-e-ZUL JALAL hai
-------------------------------
Nawaza jo kuch bhi mere Khuda ne mujhe,
Peechey waseela mere sarkaar ka hai,

Gaye jo aap “Sidratul-Muntaha” se bhi agey,
Rutbaa kitna ooncha mere sarkaar ka hai,

Ghulami-e-Rasool mein baha de gaye lahuu bhi apna,
Mera jism, Meri rooh, Sabhi mere sarkaar ka hai..
-------------------------------
Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay
Acha Mola ! Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhay

Khail Ye Kaisa Khail Rahee Hai Dil Se Teri Mohabbat
Ik Pal Sarshaari De aur DinoN Malaal Mein Rakhay

Mein Ne Saari Khushbooain aanchal Se Baandh Ke Rakheen
Shaayad In Ka Zikr TU apnay Ksi Sawaal Mein Rakhay

Ksi Se Tere aanay Ki Sargoshi Ko Suntay Hee
Mein Ne Kitnay Phool Chunay aur apni Shaal Mein Rakhay

Mushkil Bun Kar Toot Padi Hai Dil Per Ye Tanhai
aB Jaanay Ye Kub Tak Isko apnay Jaal Mein Rakhay
-------------------------------
Aye khuda teri shaan dekh raha hun
Bina satoon kay khara asmaan dekh raha hun

Teri jalwa giri hai jaga jaga
Teri ibadat say gafil yah jahan dekh raha hn
-------------------------------
Humko Ali(as) Ke Ishq Ne Aala Banaadiya!!!!
Qatra Tha Hussain(as) Ne Dariya Bana Diya!!!!
Jab Maatami Libhaaz Kiya Humne Zeb-E-Tan!!!!
Humko Gham-e-Hussain(as) Ne Kaaba Banadiya!!!
-------------------------------
Woh ik zaat se apna ajeeb naata hai
Mein jab bhatakta hon, woh rasta dikhata hai

Sawad-e-shab mein bhi roshan hai rasta mera
Woh chand ban ke mere sath sath chalta hai

Yeh sozo saaz, yeh tabindagi, yeh haala jaan
Koi chirag ki soorat mujhe jalata hai

Mein kho bhi jaaon agar zindagi ke mele mein
Woh meherbaan mujhe phir se dhoond lata hai

Fakeeha sheher ko maloom hi nahin amir
Woh rasta jo dilon se guzar ke jata hai
-------------------------------
Ya Allah – Teri Azmaton Say Hoon Bay-Khabar
Ye Meri Nazar Ka Kasoor Hai
Teri Rah?guzar May Kadam Kadam
Kahin Arsh Hai Kahin Toor Hai
Ye Baja Hai Malik-E-Band Agi
Meri Bandagi May Kasoor Hai
Ye Khata Hai Meri Khata Magar
Tera Naam Bhi To Ghafoor Hai
Ye Bata Tujh Se Miloon Kahan
Mujhe Tujh Say Milna Zaroor Hai
Kahin Dil Ki Shart Na Dalna
Abhi Dil Nigahon Say Dur Hai
------------------------------- 
Aahista chal..
Abhi kafi Qarz chukana hai,,
ALLAH ko krna hy raazi..
Or gunaho ko bakhswana hy,,
kuch khuwab hain jin ko likhna hy..
Or tabiro ko pana hy,,
kuch log hen ujre dil wale..
Un dilo me pyar basana hy,,
or khizan rasida angan me..
Khushiyon ka deep jalana hy,,
Kuch tauba krni baqi hy…
Or RAB ko hume manana hy,,
janna ka krna hy soda..
Dozakh se khud ko bachana hy,,
Ay maah-e-RAMZAN aahista chal …
Abhi kafi qarz chukana hy,,,,.,,
-------------------------------
Teri Bargah Mein Ay Khuda, Junhi Sar Ko Maine Jukha Diya,
Usi Waqt Teri Khudayi Ne, Mujhe pastiyon Se Utha Diya,

Main Zaleel Tha Main Haqeer Tha, Tere Dar ka Aik Faqeer Tha,
Tu Ne Aik Hi Sajday Mein, Mujhe Kya Se Kya Bana Diya,

Rag-e-Jaan Se Bhi Tu Qareeb hai,Tu Hi Likhta Sab K Naseeb Hai,
Jisay Chaha Pal Mein Utha Diya, Jisay Chaha Pal Mein Gira Diya…..!!!!
-------------------------------
Mujhe zindagi mein qadam qadam pe tere raza ki talash hai?
Tere ishq mein ay mere Khuda ! Muje inteha ki talash hai;

Mein gunnahoun mein houn ghira hua,mein zameen pe houn girra hua;
Jo mujhey gunnahoun se nijat de ,mujhey uss dua ki talash hai;

Mein NE Jo kia burra kia ,mein NE khud ko khud he tabah kia;
Jo tujhey pasand ho mere RABB! Muje uss adda ki talash hai;

Tere Dar par he mera sar jhukey mujhey aur nahi kuch chahiye;
Mujhey sab se kar de be-niaz ,mujhey uss Anna ki talash hai.
-------------------------------
Momin K Liye To Jan-E-Hasti Hay NAMAZ
Iman Ki Aghosh Me Basti Hay NAMAZ
Milti Nahi Mehshar Me Kisi B Qeemat Par
O Zindagi Walon Parh Lo Abhi Sasti Hay Namaz
-------------------------------
Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh

Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh

Sarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hont Pe Aansoo Ki Dhaar Rakh

Aiy Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh

Dil Main Naheen Jo Ishq To Kaahe Ki Bandagi
Sajday Main Apnay Sar Ko Agarche Hazaar Rakh

Kaaba Agar Naheen To Isay Butkada Bana
Dil Main Khuda Ki Yad Ya Tasveer-E-Yar Rakh

Hamlay Shadeed Honge Anaa Ke Khatiib Phir
Qaaim Khudi Ke Gird Khuda Ka Hisaar Rakh
-------------------------------
Be-Zubanon Ko Jub Wo Zaban Deta Hai
Parhne Ko Phir Wo Quraan Deta Hai
Bakhshne Pe Aye Jub Ummat K Gunahon Ko
Tohfe Mai Gunahgaron Ko Ramzan Deta Hai
-------------------------------
Waaiz Kamaal-e-Tark Say Yaan Muraad
Duniya Jo Chor Di Hai Toh Uqba Bhi Chor Day
Taqlid Ki Rawish Say Toh Behtar Hai Khudkushi
Rasta Bhi Dhoond Khizr Ka Sauda Bhi Chor Day

Ad Code