Ad Code

Ticker

6/recent/ticker-posts

Romantic Poetry







In jheel si gehri aankhoon main
Ik sham kahin aabad to ho

is jheel kinaray pal do pal
ik khawab ka neela phool khilay
wo phol baha dain lehroon main
ik rooz kabhi hum sham dhalay
is phol k behtay rangoon main
jis waqt larazta chand chalay
us waqt kahin un aankhoon main
is basray pal ki yaad to ho

In jheel si gehri aankhoon main
ik sham kahin aabad to ho

phir chahay omer samander ki
her maoj parayshan ho jaye
phir chahay aankh darechay say
her khawab gurayzaan ho jaye
phir chahay phool k chehray ka
her dard nomayan ho jaye
is jheel kinaray pal do pal
wo roop nagar eejad to ho
din raat k is aaeynay say
wo aks kabhi aazad to ho

In jheel si gehri aankhoon main
ik sham kahin aabad to ho
-------------------------------
Barish , Badal Tum Or Main
Khushb0 , M0sam Tum 0r Main

Kaley Badal, Rimjhim Barish
Neela Anchal Tum 0r Main

Behti Nadiyan, Girta Pani
Ankhey, Aansu Tum 0r Main

Pas Kisi Drya K K0i
Bheega Jh0npar Tum 0r Main

D0r Kahin K0yal Ki Koo Koo
Gehra Jngal Tum 0r Main

Barkha Rimjhim Geet Sunaye
Jhurmat Daley Tum 0r Main

D0r Kahin Pr Chh0ta Sa Ek
Kach’cha Sa Ghar Tum 0r Main

Kandha Tera 0r Sr Mera
Pagl Si Chup Tum 0r Main
-------------------------------
Mujh Se Milta Tha Tu Kerta Tha Wo Bojhal Batain
Uski Ankho Mein Likhi Hoti Thi Jhal Thal Batain

Kitne Israr Thay Pinha Uski Zaat Mein
Uski Khamoshi Samandar Thi Our Sahir Batain

Uski Ankho Mein Tha Janon Our Chehre Pe Tha Sakoon
Kitna Diwana Tha Wo Shakas Our Pagal Batain

Meri Tanhai Ka Jangal Bhi Ab Mehak Uthta Hai
Yaad Ati Hein Jab Wo Teri Sandal Batain

Meri Hasti Ko Chupa Leti Thi Jo Saye Mein
Dhoop Mousam Mein Wo Ker Jata Tha Badal Batain

Log Lafzo Se Bhi Maar Jate Hein Ehsas Karo
Rouh Ko Das Leti Hein Akas Yaha Qatil Batain

Begti Ankho Mein Khushbo Samait Rakhta Tha
Jheel Ankho Mein Likhi Hoti Thi Kanwal Batain
-------------------------------
Tumhain Jab Milain Furstain Mere Dil Se Boj Utar Do
Main Bohat Dino Se Udas Hun Muje Koi Sham Udhar Do
Muje apne roop ki dhoop do k chamal sakain mere khal o khad
Muje apne rang mein rang do mere sare zang utar do
Kisi our ko mere haal se na garaz hai na koi wasta
Main bikhar gaya hun smait lo main bighar gaya hun sanwar do
Meri wehshato ne berha diya hai judaion k azab ne
Mere dil pay hath rakho zara meri dharakno ko qarar do
Tumhain sobho kesi lagi, kaho, meri khawahisho k diyar mein
Jo bhali lagi to yahin raho isay chahto se nikhar do
Koi baat kerni hai chand se kisi shakhsar ki ot mein
Muje raste mein yahin kahin kisi kanj gul mein utar do
-------------------------------
Muje Tum Se Mohabbat Hai
Chopana raaz is dil k
Agar tum chor do jana
Muje tum se mohabbat hai
Agar tum bol do jana
To jivan k safar mein
Rasta asan ho jay
Hamare pas bhi jinay ka kuch saman ho jaye
Wagarna Na hum Tumare dil k darwane k bahir
Aas mein bethay rahain gay
K kabhi to band darwaza kholo gi
Mere shane pay sir rakh ker
Kabhi dheray se bolo gi
Muje tum se mohabbat hai
-------------------------------
Lab pay ek hurf-e-talab na raha tere baad
dil main taseer ki khuahish na dua tere baad
aks-o-aaina main rubt hu kiya tere baad
hum tu phirte hain khudd apne se khafa tere baad
dil na mehtaab se uljha na jala tere baad
ek jugnoo tha k chup chup bhuja tere baad
ek hum hain bay burg -o- nawa tere baad
warna aabaad hai sub khalq-e-KHUDDA tere baad
-------------------------------
Wo Shakhs Mujhe Pyaara Hai Usay Kehna
Wohi Jeene Ka Sahaara Hai Usay Kehna
Laug Pyaare Hain Bohot Se Mujh Ko
Wo Sub Se Pyaara Hai Usay Kehna
Mohobbatein Shikaayatein Adaawatein Us Ki
Mujhe Sub Gawaara Hai Usay Kehna
Kacha Ghara Hai Aur Main Thaka Thaka As Hoon
Bohot Door Kinaara Hai Usay Kehna
Dil Ke Badle Jaan Mat Maango
Mujhe Is Main Khasaara Hai Usay Kehna
Chahne Waale Aur Bhi Hain Lekin
Ye Dil Sirf Tumhara Hai Usay Kehna
-------------------------------
Koi Raat Mere Aashna
Muje Yun Bhi To Naseeb Ho
Na Khawal Ho Libas Ka
WoItna Mere Qareeb Ho
Badan Ki Garam Anch Se
Meri Arzo Ko Aag Day
Mera Josh Bhi Behak Uthay
Mera Haal Bhi Ajeeb Ho
Ter Chashni Wajood Ka
Main Sara Rus Nichoor Lun
Phir Tu He Mera Marz Ho
Phir Tu He Mera Tabeeb Ho
-------------------------------
Tu ney to aey rafeeq-e-jaaN aur hi gul khila deaye
bakhyaa-gari ke shoq meiN zakham naye laga deaye
dast-e-hawaa ne rait par pehley banaey rastey
phir mery ghar ke rastey ghar sey terey mila deaye
kitni thi ajnabi fiza pehley pehal firaq meiN
dard ke ishtiraak ne kai dost naye bana deaye
poocha tha kya pasand hey tum ko meri biyaaz meiN
us ne judaiyoN ke sheR chuN ke mujhey suna deaye
ik sitam-zareef ney subh-e-turb ke naam par
apna deya bacha liya sab ke deaye bujha deeye
kitna sukhan-shanaas tha taana diya to yuN diya
aap ke fun ke ratjagey hijar ney jagmaga deaye
-------------------------------
Us Ne Kaha Muj Se Tumhain Kitna Payar Hai?
Maine Kaha Sitaro Ka Koi Shumar Hai
Us ne kaha ke kon tumhain hai bohat aziz?
Maine kaha ke dil pay jise ikhtiyar hai
Us ne kaha ke kon sa tuhfa hai man pasand?
Maine kaha wo shaam ko ab tak udhaar hai
Us ne kaha khizan mein mulaqat ka jawaz?
Maine Kaha ke qurb ka matlab bahar hai
Us ne kaha k muj k yaqeen aye kis tarah?
Maine kaha ke naam mera Aitbar hai
-------------------------------
APNE EHSAS SE MUJHE SANDAL KAR DO
MAIN SADIYON SE ADURA HOON MUKAMAL KAR DO
NA TUMHAIN HOSH RAHAY AUR NA MUJAY HOSH RAHAY
IS KADAR TOOOT KE CAHOO MUJAY PAGAL KAR DOO
TUM HATEHLI KO MERE PYAAR KI MEHNDI SE RANGO
APNI ANKHON MAIN MERE NAAM KA KAJAL KAR DOO
IS KE SAYE MAIN MERE KHOWAB DEKH UTHAIN GAAY
MERE CAHRE PEH CAHMAKATA HOWA ANCHAL KAR DO
DHOOP HE DHOOP HOON MAIN TOOT KE BARSO MUJH PAR
IS KADAR BARSOO MERI ROOOH MAIN JAAAL THAL KAR DOO
JAYSAY SEHRAOON MAIN HAR SAAM HOWA CAHLTI HAI
IS TAHRAH MUJH MAIN CAHLO AUR MUJAY THAL KAR DOO
TUM CHUPA LO MERA DIL-E-AWAT MAIN APNE DIL KI
AUR MUJAY MERI NIGAOON SE BHI AOJAL KAR DO
MASLAH HOON TO NIGAIN NA CHAROO MUJH SE
APNI CHAHAT SE TWAJA SE MUJHAY HAL KAR DO
APNE GUM SE KAHO HAR WAQT MERE SAATH RAHAY
AIK AHSAAN KARO IS KO MUSALSAL KAR DOO
MUJH PEH CAHAA JAOO KISI AAAG KI SORAT JANAAAN
AUR MERI ZAAAT KO SOOKHA HOWA JANGAL KAR DOO
-------------------------------
Band Lain Hath Pay Sene Pay Saja Lain Tum Ko
Ji mein ata hai k taveez bana lain tum ko
Phir rooz sanwarain tumhain berhta dekhein
Kiyn na angan mein chambeli sa laga lain tum ko
Kabhi khawabo ki tarah ankh k perday mein raho
Kabhi khwahish ki tarah dil mein bhula lain tum ko
Jis tarah raat k sinay mein mehtaab ka noor
Apne tareek makano mein saja lain tum ko
Kaya ajab khawahish uthti hai hamare dil mein
Ker k muna sa hawao mein uchalain tum ko
Iss qadar toot k humain tum pay payar ata hai
Apni baho mein bharain maar he dalain tum ko
-------------------------------
MAIN IS HISAAR SE NIKLON TU AUR KUCH SOCHON
TUMHARY PIYAR SE NIKLON TU AUR KUCH SOCHON
TAIRI GALI KE ILAAWAH BHI AUR QURIAY HAIN
JU IS DIYAR SE NIKLON TU AUR KUCH SOCHON
TUMHARY HIJRR KI SADIAN TUMHARY WASLL K DIN
MAIN IS SHUMMAR SE NIKLON TU AUR KUCH SOCHON
RACHA HUA HA TAIRA ISHQ MAIRI POORON MAIN
MAIN IS KHUMMAR SE NIKLON TU AUR KUCH SOCHON
YEH MUJH MAIN KAUN MAIRY RAAT DIN SANBHALTA HA
IS IKHTIAR SE NIKLON TU AUR KUCH SOCHON
TUMHARY JISM KI KHUSHBU NY KAR DIYA MASS-HOOR
IS AABSHAAR SE NIKLON TU AUR KUCH SOCHON
YEH BE-QARAARI MAIRI ROOH KA UJAALA HA
MAIN IS QARAAR SE NIKLON TU AUR KUCH SOCHON
-------------------------------
Tu mujhe itane pyaar se mat dekh
terii palako.n ke narm saaye me.n
dhuup bhii chaa.Ndanii sii lagatii hai
aur mujhe kitanii duur jaanaa hai
ret hai garm, paa.Nv ke chhaale
yuu.N damakate hai.n jaise angaare
pyaar kii ye nazar rahe, na rahe
kaun dasht-e-vafaa me.n jaataa hai
tere dil ko Khabar rahe na rahe
tuu mujhe itane pyaar se mat dekh
-------------------------------
Kitna shafaf hai badan tera
Kal jo to meray pass se guzri
Maine dekha k tere chahray per
Jheel k sa sakun chaya hai
Our tere dil pay jab nazar dhali
Main ne wo hashar sa bapa dekha
Jis traha zalzala sa aya hai
-------------------------------
Wo jo a jatay the ankhon main sitaray layker
Janay ki dais gaye khawab hamaray layker

Chao main bethney walay he to sub se pahlay
Pairh girta hai to a jatay hain aaray layker

WO jo asoda hasil hain inhain kaya maloom
Ab k mooj i to paltay gi kinaray layker

Aysa lagta hai ye her mosam e hijra main bahar
Hont rakh deti hai shakho pay tumharay layker

Shahar walo kaha yaad hai wo khawab farosh
Phirta rahta tha ko galiyun main ghubaray layker

Jis jaga jayen bana letay hain apni jaga
Ab jo zinda hain to kuch sans udharay layker
-------------------------------
Fragh e waqat meer ho Khawab suntay rahain
Tere sukhan k mahaktay gulab suntay rahain

Jo taar charay rahay hain her aik darkan k
Teri ada k ye saye ye rabab suntay rahay

Tere sukhan ko smayet k her hasar main lain
Jahan se kat k wo tera khitab suntay rahin

Ye altfaat bhi qurbat k humraqab hai gar
To dharkano k sawalo jawab suntay rahain

Tamam guzti hoi sayto k lab kholain
Kitab e hijar ka sara nisab suntay rahain
-------------------------------
Parda karay hay ziyada jalwa bhi KHoob hoga
aankheN to pur kashish heN chehra bhi KHoob hoga

uski enaayatoN ka chachaa bhi KHoob hoga
mashhoor woh bohat hay ruswa bhi KHoob hoga

meray ghar pay un ki aamad hay raqeeb per qayaamat
chehra bujha bujha hay jalta bhi Khoob hoga

meray dil ko toR kar woh mehfil meN muskuraaya
tanhaaeeyoN meN lekin roya bhi KHoob hoga

mehsoos ho rahi hay tayri tapish yahaN tak
ae shams e husn tayra saaya bhi KHoob hoga

meray lafz lafz per thay youN to hazaar parday
lekin woh sub kay maani samjha bhi KHoob hoga

woh chupna chahta tha sar e bazm sirf mujh say
is justajoo meN mujh ko DhoonDa bhi KHoob hoga

shikwa abuas husaini kartay ho zindagi ka
khoya agar bohat hay paaya bhi KHoob hoga
-------------------------------
Woh be naqaab jo fasl e bahaar meN aawe
To behr e deed her ik gul qataar meN aawe

Usay ho meri nazar ka jo imtehaaN darkaar
To ba naqaab hazaaroN hazaar meN aawe

Siwaa ho jis ki zameeN aasmaan say wusat
Woh kaisay tang nazar kay hisaar meN aawe

Tu dast e baad e sabaa per payaam e aamad bhej
To lutf aur tiray intezaar meN aawe

Agar yeh sach hay k sohbat say KHoo badalti hay
To rang o nakhat e gul kuchh to KHaar meN aawe

husaini doulat e duniya ki justajoo hay abus
KHazaanay us say bharo jo mazaar meN aawe
-------------------------------
Kal Raat Bazam Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha
Khushboo Say Uss kay Lafaz Thai Chehra Chaman Sa Tha

Daikha Ussay Tu Bool Paray Uss Kay Khud o Khaal
Poocha Ussay Tu Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha

Tunhaiyoon Kee Rutt Mein Bhi Lag’ta Tha Mut’mayeen
WOh Shakhas Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha

SOocha Ussay Tu Mein Kaiee Rungoon mein Khoo Gaya
Alam Tamaam Uss Kay Haseen Payr’han Saa Tha

Jo Shaakh Shaakh Thee woh Ussi Kay Laboon See Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Kay Dehan Saa Tha

Woh Sadgi Pehan Kay Bhi Dil Mein Utar Gaya
Uss Ke Har Ik Ada Mein Ajab Bhoolpan Saa Tha

Asaan Samajh Rahay Thai Ussay Shehar e Jaan Kay Loug
Mushkil Tha Iss Qadar Kay Mairay Apnay Fun Sa Tha

Woh Guftagoo Thee Uss Ke, Ussi Kay Liyeah Hee Thee!
Kehnay Ko Youn Tu Mein Bhi Shareek e Sukhan saa Thai

Taray Thai Chandini mein Keh Tuhmat Kay Daagh Thai
faysal Kal Asmaan Bhi Mairay Kafaan Sa Tha
-------------------------------
Labon Ki Sirsarahat Sey,
Badan K Choor honey Tak,

Main Tujh Ko is Tarah Chahoon,
K Teri Saans Ruk Jaye.

Khataon par Khataen hon,
Na ho Kuch baat
Kehney Ko,

Main Tujh Mein yon Sama Jaon,
K Teri Saans Ruk Jaye.

Na himmat Tujh Mein ho baqi,
Na himmat Mujh Mein ho baqi,

Magar itna qareeb Aaon,
K Teri Saans Ruk Jaye.

Terey haonton pey Rakhoon Main,
Apney haont Kuch Aisey!!

Ya Teri Piyaas bujh Jaye,
"YA MERI SAANS RUK JAYE"..
-------------------------------
Ik arzOo hai puri parwrdgar kre,
 Mein dair say jaon wo mere intzar kre,
Apne hathon say sanwarun zlfein uski,
Wo sharma ker mhabat ka iqrar kre,
Lipat jay mujhse aalm e madhoshi mein,
Or josh e janum mein mohabaat ka izhar kre,
Ho shab e wisal ya RAB!,
 Kia bheegi zulfon say mujhe bedaar kre,
Jab use chor kia jana chahun Wasi
-------------------------------
Mere ishq ko na nidhal ker,
Kabhi Be hijab wasal ker,
 Meri ankh ko benai de,
Mere qalab ko ujal ker,
Mujhe dars de fana ka,
 Mere ishq ma bura haal ker,
 Mujhe de saza koi sakhat si,
Mujhe is jahan ma misal ker,
Meri asal sorat bigar de,
Kisi ishq bhati ma dal ker,
Mujhe bhi pila koi aesi she…,
Kabhi meri ankhein bhi laal ker,
 Wo jo is jahan ma halal he,
Kabhi us jahan ma halal ker,
Teri talab ma hun Dar badar,
Kabhi is samat bhi khiyal ker
 Wo roka or ik raat ka israr kre,
 Qasam khada ki main kisi or ka ho nahi sakta!
 Ya wada e wafa wo bar bar kre
-------------------------------
tujhse mohabbat ka paigaam likh raha huN
tere husN ko khat meiN salam likh raha huN

pee kar jeese madhosh haiN tamaam duniyaa
husn-e-mohabbat ka wo jaam likh raha huN

jiss teer-e-nazar se Qtal ho rahe Diwaane
us jadugiri ka aaj ek anjaam likh raha huN

tere ishQ meiN duba rehta hun shab-o-roz
teri yaadoen ki subah aur shaam likh raha huN

haiN tujhse kis kadar mohabbat jaan-e-wafa
yeh maiN mehfil meiN sareaam likh raha huN

Omi huN, mohabbat ka Qalaam likh raha huN
k meri yeh jindagi ab tere naam likh raha huN'
-------------------------------
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

Koi aansoo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !

Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon
-------------------------------
Ek chhota sa sapna tha,
Us sapne mein koi apna tha,
Us apne mein kuchh sukoon tha,
Jo zindagi ka junoon tha.

Us junoon mein ek rahat thi,
Jo sirf teri chahat thi,
Us chahat mein ek andaz tha,
Jo meri dhadkano ka raaz tha.

Us raaz mein ek khushbo thi,
Jo meri soch ki justazu thi,
Us justazu mein ek hararat thi,
Jo meri khushiyoun ki shahrat thi.

Us shahrat mein ek ehsaas tha,
Ke tu jo mere pass tha,
Us pass mein jo ek aaraam tha,
Woh bus sirf ek tera naam tha

-------------------------------
Is Bheegi Sham K Sa’ey Mein
Chupkey Se Agr Tum Aa Jao,
Yeh Sham Suhani Ho Jaye,
Rangeen Kahani Ho Jaye,
Wo Baat Jo Lab Na Keh Sakey,
Aankhon Ki Zubani Ho jaye,
Koi Pyar Ka Naghma Tum
chero,
Koi Pyar Ka Geet Sunaen Hum,
Han Pyar Karen Yun Hum Dono,
Yeh Raat Suhani Ho Jaye,
Main Baithoon Tere Pehlon Mein,
Kuch Dil Ki Baaten Ho Jayen,
Tum Ungliyan Phairo Mere Baalon Mein,
Hum Meethi Neend So Jayen,
Is Bhegi Sham Suhani Mein Chupky Se Agr Tum Aa Ja
-------------------------------
Kal halki halki barish thi,
kal sard hawa ka raqs bhi tha,
Kal phool bhi nikhray nikhray the,
Kal un main app ka aqs bhi tha,
kal badal gehray kaale the,
Kal chand pe laakhon pehre the..
Kuch tukry app ki yaadon ke,
Bari dair se dil main thehre the..
Kal yaadien uljhi uljhi thien,
Aur kal tak yeh na suljhi thien..
Kal yaad buhat tum aye the…..
Kal yaad buhat tum aye th

-------------------------------
Har roz bola bhola dety ho kamal krty ho!
Hsty ko rla dety ho kamal krty ho!

Nahi hy muhabat to saaf kh do!
Kiyn umeed barah dyty ho kamal krty ho!

Hm tuhain bholany lgty hain jb bi!
Ake pyar jata dety ho kamal krty ho!

Jante bi ho keh aik hi dia hy mere ghar main!
Pher bi hawa deti ho kamal krty ho!

Bholne ka jo mjhy hr roz khty ho!
Youn yad dela dety ho kamal krty ho!

khud hi kehty ho keh nasha haram he Faraz!
Aur jam thama dyty ho kamal krty ho!!
-------------------------------
Mere hamsafr...
Mere Hamnasheen...
Main ne Rab se manga tu kuch nahi,
Main ne jab b mangi koi dua!
Nahi manga kuch b "Tere siwa"...
Ye talab kiya k mera Khuda!
Sabhi rahatien..
Sabhi chahtien..
Wo ata kare tujhe manzilain..
Ye talab kiya k mera Khuda!
Tujhe bakht de..
Tujhe taj de..
Mere Humsafr...
Mere Chara gur...
Ye hai Dosti ka kathan safar...
Mere sath chalna zra soch kr...
Zra dekh tu mera hosla..
Mere pas jo b wo hai tera..
Nahi or kuch b tere siwa...
Meri Dosti..
Meri zindagi..
Meri khamoshi..
Meri be basi..
Mera ilam b..
Mera naam b..
K meri subha..
K meri sham b..
K jo mil skain mere daam b..
Wo sabhi kuch tujhe atta kare...
Mere chara gur..
Tu yaqeen tu kr..
Mujhe mangna tu na aa saka..
Main phr b mangi yehi dua!
k gawahi de ga mera Khuda...
Main jb b us se talab kia..
Nahi manga kuch b "Tere siwa"
-------------------------------

Ad Code