Ad Code

Ticker

6/recent/ticker-posts

Sad Poetry


Kuch Khawab Suhaany Toot Gay
Kuch Yaar Purany Rooth Gaye

Kuch Zakham Lagy Thy Chehry Par
Kuch Ander Se Hum Toot Gaye

Kuch Hum Thy Tabiyat K Saada
Kuch Log Begany Loot Gaye

Kuch Apno Ne Badnaam Kiya
Kuch Ban Afsany Jhoot Gaye

Kuch Apni Shikasta Nao Thi
Kuch Humse Kinaary Choot Gaye

---------------------------------
Aitbar-E-waqt pay be-ikhtyaar ho k ro paray
kho kar kabhi usay to paa k ro paray

Khushiyaan hmary pass kahan mustaqil rahein
Bahir kabi hansay to ghar aa k ro paray

Gila nahi kisi say sab ilzaam apny sir k hain
Us k dard main qaid thay Magr azaad ho k ro paray

Hamara bi ajeeb haal hai kisi haal main khush nahi
Dukh hi itnay milay k sukh paa k ro paray
---------------------------------
Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz
---------------------------------
Dard Meetha ho to Ruk Ruk k Kasak hoti hai,
Yaad Gehri ho to Tham Tham k Qaraar Aata hai
---------------------------------
Sarey wadon ko bhula sakta hoon magar rehne do
Mai tumhe chhorh k ja sakta hoon magar rehne do

Tum jo harr morh pe keh dete ho Allah haafiz
Faisla mai bhi suna sakta hoo’n magar rehne do

Tum ne jo baat ki hai dil ko dukhane wali
Uss pe mai shair suna sakta hoo’n magar rehne do

Sharm aayegi tumhe warna tumhari batain
Mai tumhe yaad dila sakta hoo’n magar rehne do……!!!
---------------------------------
Yaad Na Karogay,To Bhula Bhi Na Sakogay
Mera Khyal Zehan Se Mita Bhi Na Sakogay

Ek Bar Jo Tum Mera Gam Se Miloge
To Sari Umar Muskara Na Sako Gay

---------------------------------
Door Reh kar kareeb kitnay thay
Faslay bhi Ajeeb kitnay thay

Dard-E-Dil ki Dawa nahi warna
Is jahan mein Tabeeb kitnay thay

Umer bhar Sath jo raha Tere
Us k Achay Naseb kitnay thay

Kyun na Aya me Tere sapno mein
Mere Shikway Ajeeb kitnay thay
---------------------------------
Be khawb zindagi ka parastaar kaun tha
Itni udas raat mein be daar kaun tha

Kis ko ye fikr thi k mohabbat mein kya hua
Ham is pe larr rahe the wafadaar kaun tha

Saw kashtian jala k chaly sahilon se ham
Ab tum ko kya bataen k us paar kaun tha

Ye faisla to waqt bhi shayad naker saky
Sach kaun bolta tha, adakaar kon tha
---------------------------------
kah rahii hai hashr men vo aaNkh sharmaaii huii
haaye kaise is bharii mahafil men rusvaaii huii

aaiine men har adaa ko dekh kar kahate hain vo
aaj dekhaa chaahiye kis kis kii hai aaii huii

kah to ai gulchiin asiiraan-e-qafas ke vaaste
toD luuN do chaar kaliyaaN main bhii murjhaaii huii

main to raaz-e-dil chhupaauuN par chhipaa rahane bhii de
jaan kii dushman ye zaalim aaNkh lalchaaii huii

Gamzaa-o-naaz-o-adaa sab men hai hayaa kaa lagaao
haaye re bachapan kii shoKhii bhii hai sharmaaii huii

vasl men Khaalii huii raqiibon se mahafil to kyaa
sharm bhii jaaye to jaanuuN ke tanhaaii huii

gard uDii aashiq kii turbat se to jhunjhalaa ke kahaa
vaah sar chaDhane lagii paaNv kii Thukaraaii huii
---------------------------------
Wo Jo Dawey Dar Hai Shehar Mai K Sabhi Ka Nabz Shanas Hun
Kabhi Aa Key Mujhse To Pochta K Mai Kis K Gham Mai Udass Hun

Yeh Meri Kitab-E-Hiyat Hai Ise Dil Ki Aankh Se Parh Zara
Mai Warq Warq Tere Samne Tere Ru Baru Tere Pass Hun

Yeh Teri Umeed Ko Kia Hua Kabhi Tune Ghour Nahi Kia
Ksi Sham Tune Kaha To Tha Teri Sans Hun Teri Aas Hun

Yeh Teri Judai Ka Gham Nahi K Yeh Silsiley To Hain Roz K
Teri Zaat Is Ka Sabab Nahi Kai Din Se Yunhi Udass Hun

Ksi Or Ki Ankh Se Dekh Kar Mujhe Aise Wase Laqab Na Dey
Tera Aietbar Hun Jan-E-Man Na Guman Hun Na Qayas Hun
---------------------------------
Aey Zindagi Aik Baar Tu Nazdeek Aa Tanha Hoon Main
Ya Door Say Phir Dey Mujhey Koi Saza Tanha Hoon Main

Duniya Ki Mehfil Mein Kahin Main Hoon Bhi Shayad Ya Nahin
Ekk Umr Say Iss Soch Mein Dooba Hoon Tanha Hoon Main
---------------------------------
Jin Raho pe ik umer tere saath rahi hoon,
Kuch roz se wo rastey sunsan bohot hai,

Mil jao kabhi laut k phir ayo na shayad,
Kamzor hoon mai rah mai toofan bohot hai,

Ik tum hi nahi meri judai mai pareshan,
Hum bhi to teri chah mai veeran bohot hai,

Ik tark-e-wafa mai usey kaise bhula doo,
Mujh per abhi us shaks ke ahsan bohot hai,

Bhar aaien na ankhein to mai ik baat bataon,
Ab tujh se bicher jane ke imkaan bohot hai..
---------------------------------
Yehi wafa ka sila hy to koi bat nhi
Ye dard tum ne dia hy to koi bat nhi

Itna boht hy k tum dekhte ho sahil se
safina dob raha hy to koi bat nhi

Kisi ki majal jo mujh ko kahe bewafa
Ager ye tum ne kaha hy to koi bat nahi

Ye mery bs me kahan k tujh ko bhul skon
Tu mujh ko bhul chuka hy tu koi bat nahi
---------------------------------
Un ke Andaz-e-Karam un pe wo aana dil ka
Haye wo waqat wo baten wo Zamana dil ka

Na suna uss ne tawajoh se Fasana dil ka
Umer Guzri par Daed na jana dil ka

Dil Lagi dil ki Lagi ban ke Mita deti ha
Rog Dushman ko b Ya Rabb na lagana dil ka

Wo b apnay na huye dil b geya hathon se
Aisay aane se to behtar ha na aana dil ka

Un ki Mehfil mein “PREET” un ke tabusam ki Qasam
Hum dekhtay reh gae hath se jana dil ka
---------------------------------
Suno tm se Zaruri bat krni he

Samandar k kinare pr
Chaly aao bahane se

Mujy tum pr bhrosa he
Tmhen muj pr bhrosa he

Mujy tum se mohabt he
Tumhen muj se mohabt he

Mgr ye b Haqeqat hy,
Hmare Darmiyan jb b Milne ki baat hoti hy,

Kbhi mei taal deta hun
Kabhi tum rooth jaty ho

Hai aisa is liay shayed
Tumhen main pa nhi sakta
Mujhe tum kho nahi saktay

Chalo phir aaj hum dono
Samandar main utar jaen
Mohabat ki kahani ko
Ajal k naam kar jain !!
---------------------------------
Kab kaun kisi ka hota hai
Sub jhootey rishtey naate hain

Sub dil rakhney ki batein hain
Sub asal roop chhupate hain

Ikhlaq se khali log yahan
Lafzon ke teer chalate hain

I baar nigahon mein aakar
Phir saari umar rulate hain

Who jis NE diye hain ashk humein
AB us ko bhool hi jaate hain
---------------------------------
Tumhara khat mila jana
Woh tum ne jis main pucha hai
K ab halaat kese hain?
Mere din raat kese hain?
Meharbani tumhari hai
K tumne is tarha mujhse
Mere halaat puche hain
Tumhain sub kuch bata donga
Mujhe itna bata do k
Kabhi sagaar kinary per
Kisi Machhli ko dekha hai?
K jisko lehrain pani ki
Kinaray tak to laati hain
Magar phir chor jati hain
Mere Halaat aise hain
---------------------------------
Jurm-e-ulfat mein log hamen saza detey hain
kitne nadan hain sholon ko hawa dete hain

kaise mumkin hay dil bhi jale aur duhwan na ho
chot parti he to pathar bhi sada dete hain

Aap se to guzra hay waqat doo ghari ka
Log to sadion ki muhabbat ko bhula detey hain

Bas jahan bhi raho sada khush raho
hum tum ko bus yahi “DUA” dete hain

Kon yad rakhta he kisi ko bichar jane k baad
Ghar ki dehleaz chortey hi apne bhi bhula detey hain..!
---------------------------------
Kia poochty ho tere hijar mein kya sochty hain
Saja k tum ko ankhon mein sada sochty hain
Tere wajood ko chu kar guzarti hai kabhi
Hum us hawa ko b jannat ki hawa sochty hain
Ye apne zarf ki baat hy ya faqat tera lehaaz
Tere sitam ko muqaddar ka likha sochty hain
Mera us shehr-e-adawat mein basera hy jahan
Log sajdon mein b logon ka bura sochty hain
---------------------------------
Dasht-E-dariya k us paar kahan tak jati
Ghar ki deewar thi mere yaar kahan tak jati

Mitt gayi hasrat-E-deedar bhi rafta rafta
Hijar mein hasrat-E-deedar kahan tak jati

Thak gaye hont tera naam bhi lete lete
Aik hi lafz ki takraar kahan tak jati

Rehbar us ko Saraapon mein liye phirte they
Khalqat-E-shehar thi beemar kahan tak jati

Tu bohat door bohat door gaya tha mujh se
Meri Aawaz mere yaar kahan tak jati
---------------------------------
Jahan Phoolon ko khilna tha, Waheen Khiltey To Acha Tha
Tumhi ko Humne Chaha Tha , Tumhi Miltey To Acha Tha

Koi Aa kar Humein Pooche, Tumhein Kaise Bhulaya Hai
Tumhare Khat ko Ashkon se, Shab-e-Gham mein Jalaya Hai

Hazaron Zakhm Aise Hain , Agar Silte To Acha Tha
Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha

Tumhein Jitna Bhulaya Hai, Tumhari Yaad aayi Hai
Bahar-e-No Jo Aayi Hai , Teri Khusboo Bhi Laayi Hai

Tumhare Lab Meri Khatir, Agar Hiltey To Acha Tha
Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha

Mila Hai Lutf Bhi Humko, Haseen Yaadon ki Jhilmil mein
Kati Hai Zindagi Tum Bin , Magar Ek Aas Hai Dil Mein

Agar Aate To Acha Tha , Agar Miltey To Acha Tha
Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha
---------------------------------
Waqt ke sath anaasar bhi rahe sazish mein
Jal gaye pairr kabhi dhoop kabhi barish mein

Woh tou ik saada-o-kam shauq ka talib nikla
Hum ne naahiq hi ganwaya usey aarayesh mein

Zindagi ki koi mehroomi nahin yaad ayi
Jab talak hum they tere qurb ki asaayesh mein

Aik dunya ka qaseeda tha agarche mere naam
Lutf aata tha kisi shakhs ki fehmayesh mein

Us ki ankhen bhi meri tarah se girdi kahin aur
Khawb ka qarz barh jata hai ik khawish mein

Ad Code