Ad Code

Ticker

6/recent/ticker-posts

woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya
Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh

phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay
to kiya huwa jo hum say zamana badal gaya


qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari
us nay chhuraya haath to sehra badal gaya


koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya


ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal
wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya


uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan
parda utha to saara tamasha badal gaya


hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya


kehne ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya


shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha who
manzil kay paas aake jo rusta badal gaya


qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi
taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya


manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya


andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee
us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya


aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraya or meri dunya badal gaya


apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log
Amjad~ ye kon sheher ka naqsha badal gaya…

Ad Code