Ad Code

Ticker

6/recent/ticker-posts

Door Tak Chhaye Thay Badal Aur Kahin Saaya Na Tha

duur tak chhā.e the bādal aur kahīñ saaya na thā 
is tarah barsāt kā mausam kabhī aayā na thā 

surḳh aahan par Tapaktī buuñd hai ab har ḳhushī 
zindagī ne yuuñ to pahle ham ko tarsāyā na thā 

kyā milā āḳhir tujhe sāyoñ ke pīchhe bhaag kar 
ai dil-e-nādāñ tujhe kyā ham ne samjhāyā na thā 

uf ye sannāTā ki aahaT tak na ho jis meñ muḳhil 
zindagī meñ is qadar ham ne sukūñ paayā na thā 

ḳhuub ro.e chhup ke ghar kī chār-dīvārī meñ ham 
hāl-e-dil kahne ke qābil koī ham-sāya na thā 

ho ga.e qallāsh jab se aas kī daulat luTī 
paas apne aur to koī bhī sarmāya na thā 

vo payambar ho ki āshiq qatl-gāh-e-shauq meñ 
taaj kāñToñ kā kise duniyā ne pahnāyā na thā 

ab khulā jhoñkoñ ke pīchhe chal rahī thiiñ āñdhiyāñ 
ab jo manzar hai vo pahle to nazar aayā na thā 

sirf ḳhushbū kī kamī thī ġhaur ke qābil 'qatīl' 
varna gulshan meñ koī bhī phuul murjhāyā na thā 




Door tak chhaye thay badal aur kahin saaya na tha
Is tarah barsaat ka mausam kabhi aaya na tha

Kia mila aakhir tujhe saayon ke peechhey bhaag ker
Ai dile naadan tujhey kia humney samjhaya na tha

Uff yeh sannata ke ahat tak na ho jis mai mukhil
Zindgi mai is qadar hum ne sukoon paaya na tha

Khoob roye chhip ke ghar ki chaardeewari mai hum
Haale dil kehne ke qabil koi hamsaaya na tha

Ab khula jhonkon ke peeechey chal rahi theen aandhiyan
Ab jo manzar hai wo pehle to nazar aaya na tha

Sirf khushboo ki kami thee ghaur ke qabil Qateel
Warna gulshan mai koi bhi phool murjhaya na tha

Ad Code