Ad Code

Ticker

6/recent/ticker-posts

teri rahmaton ke dayar mein tere baadalon ko pata nahin

tirī rahmatoñ ke dayār meñ tire bādaloñ ko patā nahīñ 
abhī aag sard huī nahīñ abhī ik alaav jalā nahīñ 

mirī bazm-e-dil to ujaḌ chukī mirā farsh-e-jāñ to simaT chukā 
sabhī jā chuke mire ham-nashīñ magar ek shaḳhs gayā nahīñ 

dar-o-bām sab ne sajā liye sabhī raushnī meñ nahā liye 
mirī uñgliyāñ bhī jhulas ga.iiñ magar ik charāġh jalā nahīñ 

ġham-e-zindagī tirī raah meñ shab-e-ārzū tirī chaah meñ 
jo ujaḌ gayā vo basā nahīñ jo bichhaḌ gayā vo milā nahīñ 

jo dil-o-nazar kā surūr thā mire paas rah ke bhī duur thā 
vahī ek gulāb umiid kā mirī shāḳh-e-jāñ pe khilā nahīñ 

pas-e-kārvāñ sar-e-rahguzar maiñ shikasta-pā huuñ to is liye 
ki qadam to sab se milā liye mirā dil kisī se milā nahīñ 

mirā ham-safar jo ajiib hai to ajīb-tar huuñ maiñ aap bhī 
mujhe manziloñ kī ḳhabar nahīñ use rāstoñ kā pata nahīñ 





تیری رحمتوں کے دیار میں تیرے بادلوں کو پتا نہیں
ابھی آگ سرد ہوئی نہیں ابھی اِک الاؤ جلا نہیں

میری بزمِ دِل تو اُجڑ چُکی، مِرا فرشِ جاں تو سِمٹ چُکا
سبھی جا چُکے مِرے ہم نشِیں مگر ایک شخص گیا نہیں

در و بام سب نے سجا لیے، سبھی رَوشنی میں نہا لیے
مِری اُنگلِیاں بھی جھُلس گئیں مگر اِک چراغ جلا نہیں

غمِ زِندگی! تِری راہ میں، شبِ آرزُو! تِری چاہ میں
جو اُجڑ گیا وہ بسا نہیں، جو بِچھڑ گیا وہ مِلا نہیں

جو دِل و نظر کا سُرُور تھا میرے پاس رہ کے بھی دُور تھا
وہی ایک گُلاب اُمید کا میری شاخِ جاں پہ کھِلا نہیں

پسِ کارواں سرِ رہگُزر میں شِکستہ پا ہُوں تو اِس لیے
کہ قدم تو سب سے مِلا لیے میرا دل کِسی سے مِلا نہیں

میرا ہمسفر جو عجِیب ہے تو عجِیب تر ہُوں مَیں آپ بھی
مُجھے منزِلوں کی خبر نہیں، اُسے راستوں کا پتہ نہیں




Teri rehmaton k dayaar mein, teray badlon ko pata nahi
Abhi aaag sard hui nahi, abhi ik alao mujha nahi

Meri bazm-e-dil tau ujer chuki, mera farsh-e-jaan tau simat chuka
Sabhi ja chukey meray ham nasheen, mager aik shakhs gya nahi

Dar-o-baam sab ne saja liey, sabhi roshni mein naha liey
Meri unglian bhi jhulas gayein, mager ik charagh jala nahi

Gham-e-zindagi teri rah mein,shab-e-aarzoo teri chah mein
Jo ujer gya wo basa nahi, jo bicher gya wo mila nahi

Jo dil-o-nazer ka saroor tha, MEray pass reh k bhi door tha
Wohi ik gulaab umeed ka, meri shaakh-e-jaan pay khila nahi

Pas-e-karvaan, ser-e-rehguzer mein shakasta paa hoon tau is liey
keh kadam tau sab ne mila liey, mera dil kisi se mila nahi

MEra hamsafer jo ajeeb hai tau ajeeb ter hoon mein aap bhi
Mujhey manzilon ki khaber nahi, usey raaston ka pata nahi

Ad Code