Koi bhula sakta kisi ko bhool janay k baad

Koi bhula sakta kisi ko bhool janay k baad
Koi samnay a jay kisi ko yad karnay k baad

kion chor dia hamara sath,kia hum ny ghalti ki
Khuda bhi maaf kar daita hy gunah honay k baad

Kion atay ho hamain yad kion tarpatay ho mujhay
Admi khush hota nahi har ik khushi milnay k baad

Mohabbat k safar main kitnay dor chalay gay jab hum
kion wapis pukartay ho manzil k qareeb anay k baad

Anso hain kamzoor sahara meray jiwan ka
Kion atay ho ponchnay ankhain sokh janay k baad

Na mana karo hamain piyar karnay sy
Kion log baghawat kartay hain piyar karnay k baad

Kar ly deedar apnay mehboob ka ji bhar k
Koi ata nahi milnay qabar main janay k baad

Koi kisi ka hal e dil jan sakta nahi
Murda jism hi janta hy qaber main janay k baad

Izat, zillat, gunah, sawab kia hy koi bata dy
Na ana cahata koi dunia main qyamat daikhnay k baad
Previous Post Next Post

Contact Form