Mayaar Girta Na Doston Ka

معیار گرتا نه دوستوں کا
 نه هم بھی دشمن کی ڈھال هوتے
ضعیف دشمن پے وار کرتے
 تو وقت کے هم دجال هوتے

نهیں تھا اپنا مزاج ایسا 
که ظرف کھو کر انا بچاتے
ورنه ایسے جواب دیتے
 که پھر نه پیدا سوال هوتے

هماری فطرت کو جانتا هے
 تبھی تو دشمن یه که رها هے
هے دشمنی میں بھی ظرف ایسا
 جو دوست هوتے کمال هوتے

جو آ کے تم حال پوچھ لیتے 
تو اتنی لمبی نه عمر لگتی
که وصل کی اک گھڑی میں سارے 
گزر گئے ماه و سال هوتے

اسے مبارک مقام اونچا 
صحیح حقیقت همیں پتا هے
بناتے رشتوں کی هم بھی سیڑهی
 .تو آسماں کی مثال هوتے


Mayaar Girta Na Doston Ka 
Na Hum Bhi Dushman Ki Dhaal Hotey
 Zaeef Dushman Pay Waar Kartey
 Tou Waqt K Hum Dajaal Hotey

Nahi Tha Apna Mijaaza Aisa 
Ke'h Zarf Kho Kar Anaa Baichety
 Warna Aisay Jawaab Daitey 
Ke'h Phir Na Paida Sawaal Hotey

 Hamari Fitrat Ko Janta Hai 
Tabhi Tou Dushman Yeh Keh Raha Hai
 Hai Dushmani Mein Bhi Zarf Aisa 
Jo Dost Hotey Kamaal Hotey

 Jo Aa K Tum Haal Pooch Laitey 
Tou Itni Lambi Na Umar Lagti
 Ke'h Visal Ki Ik Gharri Mein Saray
 Guzar Gaey Maah-O-Saal Hotey

 Usay Mubarak Muqaam Ooncha
 Sahi Haqiqat Hame Pata Hai
 Banatey Rishton Ki Hum Bhi Seerrhi
 Tou Aasmaan Ki Misaal Hotey



Mayar girta na doston ka, na ham bhi dushman ki dahaal hotay,
Zaeef dushman pe waar kartay, tou waqt k ham dajaal hotay,


Nahi tha apna mizaaj aesa, k zarf kho kar anaa bachatay,
Wagarna aese jawaab detay, k phir na paida sawaal hotay,

 
Hamari fitrat ko janta hai, tabhi tou dushman ye keh raha hai,
Hai dushmani main bhi zarf aesa, jo dost hotay kamaal hotay,


Jo aa k tum haal puch letay, tou itni lambi na umr lagti,
Kay wasl ki ik ghari main saray,
guzar gaye maah-o-saal hotay,


Usay mubarik maqaam uncha, sahi haqeeqat hamain pta hai,
Banatay rishton ki ham bhi seerhi, tou aasmaan ki misaal hotay..
Previous Post Next Post

Contact Form