usay apnay farda ki fikr thi, woh jo mera waqif e haal tha
woh jo us ki subah e urooj thi, wohi mera waqt e zawal tha
Mera dard kesay woh janta, meri baat kesay woh manta
Woh tou khud fana k safar mein tha, usay rokna bhi muhal tha
Kahan jaou gay mujhay chor kr, mai yeh pooch pooch k thak gaya
Woh jawab mujh ko na day saka, woh to khud srapa sawal tha
Woh jo us kay samnnay aa gaya, wohi roshni mein naha gaya
Ajab us ki haibat e husn thi, ajab us ka rang o jamal tha
Dam e wapsi usay kya huwa, na woh roshni na woh tazgi
Woh sitara kesay bikher gaya, woh to aap apni misal tha
Woh mila to sadioun k baad bhi, merey lab pay koi gila na tha
Usay meri chup nay rula diya, jisay guftagu mein kamal tha
Mere saath lag k woh rou diya, mujhay faqat itna woh keh saka
Jisay janta tha mai zindagi woh to sirf wehm o khayal tha...

اسے اپنے کل ہی کی فکر تھی وہ جو میرا واقفِ حال تھا
وہ جو اسکی صبحِ عروج تھی وہ میرا وقتِ زوال تھا
میرا درد کیسے وہ جانتا میری بات کیسے وہ مانتا
وہ تو خود فنا کے ساتھ میں تھا اسے روکنا بھی محال تھا
وہ جو اسکے سامنے آگیا روشنی میں نہا گیا
عجب اسکی ہیبتِ حسن تھی عجب اسکا رنگِ جمال تھا
دمِ واپسی اسے کیا ہوا نہ وہ روشنی نہ وہ تازگی
وہ ستارہ کیسے بکھر گیا وہ جو اپنی آپ مثال تھا
وہ ملا تو صدیوں بعد بھی میرے لب پہ کوئی گلا نہ تھا
اسے میری چپ نے رُلا دیا جسے گفتگو میں کمال تھا
میرے ساتھ لگ کے وہ رودیا اور صرف اتنا ہی کہہ سکا
جسے جانتا تھا میں زندگی وہ تو صرف وہم و خیال تھا