Raabta laakh sahi qaafla salaar ke saath

Raabta laakh sahi qaafla salaar ke saath
Hum ko chalna hai magar waqt ki raftaar ke saath

Gham lage rehte hain ha aan khushi ke peechhey
Dushmani dhoop ki hai saaya - e- deewar ke saath

Lafz chunta hoon to mafhoom badal jaata hai
Ik na ik khauf bhi hai jurrate izhaar ke saath

Dushmani mujh se kiye ja magar apna ban ker
Jaan le le meri sayyad magar pyaar ke saath

Do ghadi aao mil aayen kisi Ghalib se Qateel
Hazrate Zauq to wabasta hain darbaar ke saath
Previous Post Next Post

Contact Form