Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne bujha diya

Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne bujha diya
   Jissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya

   May ho gardisho ka maara howa mujhey ab apni khabar nahi
   Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo main ganwaa diya

   Jiss ko samjha tha to ne raqeeb,woh tera naseeb tha
   Tere haath ki lakeer tha,usey to ne haath se hi mita diya

   Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
   Mera naam zeenat-e-dasht tha,isey aandhiyo ne mita diya

   Yeh udasiyoo ka jamal hai ke omara ivj-e-kamal hai
   Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna diya

   Mere omar ka gulistan abhi khula howa hai zaroor par
   Wo jo phool thay tere chah ke unko mosamoo ne gira diya
Previous Post Next Post

Contact Form