Woh jo hum maiN tum maiN qarar tha tumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Woh jo hum maiN tum maiN qarar tha tumhaiN yaad ho keh nah yaad ho
Wohi waada yaani nibah ka TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh jo lutf mujh peh thay peshtar Woh karam keh tha mray haal per
Mujhay sabb hay yaad zara zara TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh naay gilay woh shikaayateN Woh mazay mazay ki hikayateN
Woh har ik baat peh roothna TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Hooay ittefaq say gar baham To wafa jatanay ko dam badam
Gila-e-malamat-e-aqrabaa TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Koi baat aisee gar hooee Keh tumharay jee ko buree lagee
To bayaN say pehlay hee bhoolna TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Kabhi hum maiN tum maiN bhi chah thee Kabhi hum maiN tum maiN bhi rah thi
Kabhi hum bhi tum bhi thay aashnaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

suno zikar hai kai saal ka ke kiya ik aap ne waada tha

sau nibhahnay ka tau zikar kaya tumhain yaad ho ke na yaad ho

Woh bigarnaa wasl ki raat ka Woh naa ma’an-na kisi baat ka
Who nahiN nahiN ki har aan adaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Jisay aap gintay thay aashnaa Jisay aap kehtay thay baawafa
MaiN wohi hooN Momin-e-mubtalaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho
Previous Post Next Post

Contact Form