Mey ne puuchaa pehlaa patthar mujh par kaun uThaaye ga

mey ne puuchaa pehlaa patthar mujh par kaun uThaaye ga
aai ik aavaaz k tuu jis kaa mohsin kahlaayegaa

puuchh sake to puuchhay koi ruuTh ke jaane vaalon se
roshaniyo ko mere ghar kaa rastaa kaun bataaye ga

logo mere saath chalo tum jo kuchh hai vo aagay hai
peechay mur kar dekhnay vaalaa patthar kaa ho jaaye ga

din mein haNskar milne vaale chehray saaf bataatay hain
ek bhayaanak sapnaa mujh ko saari raat Daraaye ga

mere baad vafaa kaa dhokaa aur kisii se mat karnaa
gaali degi duniyaa tujh ko sir meraa jhuk jaaye ga

sookh gai jab in aaNkhon mein pyaar ki neeli jheel ‘Qateel’
tere dard kaa zard samandar kaahay shor machaaye ga
Previous Post Next Post

Contact Form