Karb chehare se mah-o-sal ka dhoya jaye

Karb chehare se mah-o-sal ka dhoya jaye
aj fursat se kahein baith k roya jaye


phir kissi nazm ki tamid uthai jaye
phir kisi jism ko lafzon mein samoya jaye


kuch to ho raat ke sarhad mein utarane ki saza
garm suraj ko samundar mein duboya jaye


itni jaldi to badalte nahi honge chehare
gard aalod hain aayine ko dhoya jaye


maot se khof-zada jine se bezar hain log
is almiya pe hansa jaye k roya jaye...!
Previous Post Next Post

Contact Form