Teri rehmatoun k dayaar main,tere badloun ko pata nahi
abhi aag sard hoe nahi,abhi ek alaao bujha nahi
meri bazm-e-dil tu ujar choki mera farsh-e-jan tu simat choka
sabhi ja choke meray ham-nashen,magar eak shaks gaya nahi
dar-o-baam sab ne saja liye,sabhi roushni main naha liye
meri ungliyan bhe jhulas gaaen,magar ek charaag jala nahi
gham-e-zindagi teri rah main shab aarzo teri chaah main
jo ujar gaya wo basa nahi,jo bichar gaya wo mila nahi
jo dil-o-nazar ka saroor tha,mere pass reh k bhe door tha
wo ek gulaab umeed ka,meri shaakh-e-jan pe khila nahi
pas-e-kaarwan sar-e-rah gozar main shakista-paa hon tu es liye
k qadam tu sab se mila liye,mera dil kise se mila nahi
mera ham-safar jo ajeeb hai tu ajeeb tar main aap bhe
mujhe manzilon ki khabar nahi usay rastoun ka pata nahi