Raqs Karnay Ka Milaa Hukm Jo Dariyaaon Main

Raqs Karnay Ka Milaa Hukm Jo Dariyaaon Main
Hum Nay Khush Hokay Bhanvaar Bandh Liye Paaon Main

Un Ko Bhi Hai Kisi Bheegay Huay Manzar Kii Talaash
Boondh Tak Bo Na Sakay Jo Kabhi Saharaoon Main

Ai Mere HumSafaroon Tum Bhi ThakayHaaray Ho
Dhoop Kii Tum To Milavat Na Karo Chaaon Main

Jo Bhi Aata Hai Bataata Hai Nayaa Koi Ilaaj
Bat Na Jaye Teraa Bimaar Maseehaaon Main

Hauslaa Kis Main Hai Yusuf Kii Kharidaari Kaa
Aab To Mehngaaii Kay Charchay Hain Zulaikhaaon Main

Jis Barahman Nay Kaha hai Kay Ye Saal Acha Hai
Us Ko Dafnaon Meray haath Kii Rekhaaon Main

Who Khudaa Hai Kisi Tootay Huay Dil Main Hogaa
Masjidoon Main Usay Dhoondho Na Kaliisaaon Main

Hum Ko Aapas Main Muhabbat Nahin Karnay Detay
Ik Yehi Aiib Hai Is Shehr Kay Daanaon main

Mujh Say Kartay Hain 'Qateel' Is Liye Kuch Log Hasad
Kyon Mere Shehr Hain Maqbool Haseenaon Main
Previous Post Next Post

Contact Form