Dekhtay jao mager kuch bhi zubaan se na kaho

Dekhtay jao mager kuch bhi zubaan se na kaho
maslihat ka ye taqaza hai k khamosh raho

loog dekhain gay to afsana bana dalain gay
yun meray dil main chalay aao k aahat bhi na ho

gungunati huwi raftaar bdi naimat hai
tum chattano se bhi photo to nadi ban k baho

gham koi bhi ho jawani main mazah deta hai
gham e janaan jo nahin hai gham e dauraan hi saho

ho chukay pyar main ruswa sir e bazar Qateel!
ab koi hum ko nahin fikr jo hona hai so ho.
Previous Post Next Post

Contact Form