Kariya-e-jan mein koi phul khilane aaye

Kariya-e-jan mein koi phul khilane aaye
wo mere dil pe naya zakhm lagane aaye


mere viran darichon mein bhi khushbu jage
wo mere ghar ke dar-o-bam sajane aaye


us se ik bar to ruthun main usi ke manind
aur meri tarah se wo mujh ko manane aaye


isi kuche mein kai us ke shanasa bhi to hain
wo kisi aur se milane ke bahane aaye


ab na puchungi main khoye hue khwabon ka pata
wo agar aaye to kuch bhi na batane aaye


zabt ke shahar-panahon ke mere malik khair
gham ka sailab agar mujh ko bahane aaye
Previous Post Next Post

Contact Form