Sulag raha hoon main dheere dheere

Sulag raha hoon main dheere dheere
magar kisi pay ayaan nahin hai
wo aag dil main lagi hai jis main
tapish hai lekin dhuaan nahin hai

tumhare ghum ne sikha dia hai
mujhe her ik ghum se pyar krna
ghum-e-jahan bi, yaqeen jano
mizaaj-e-dil pay giraan nahin hai

Khuda ki basti main her qadam per
koi hai giryaan kisi k ghum per
ye dard to dard-e-mushtarik hai
ye aankh purnam kahan nahin hai?

mataa-e-umer-e-azeez saari'
ganwa chuke per safar hai jaari
ajeeb soda hai aashiqi ka
k fikr-e-sood-o-zayan nahin hai

meri khamoshi pe hansne walo
ye bhool ker bhi na soch lena
k mere pehloo main dil nahin hai
k mere munh main zubaan nahin hai

ghazal kaho *Hasaan Ahmad
isi tarapti hui nava main
ye tarzey dil gudaaz lehja
samaaton pe giraan nahin hai!!!
Previous Post Next Post

Contact Form